Blog Archive

Monday, 30 August 2010

janmashtami songs | janmashtami Bhajans

janmashtmi messages
janmashtmi lord Krishna
janmashtmi govinda aala re
janmashtmi sms
janmashtmi radhe radhe radhe barsane wali radhe
different names of shree krishna
ceremony of dahi handi
janmashtmi fast
birth of lord krishna
legend of janmashtmi
janmashtmi songs
janmashtmi wallpapers


 
1. Shyam chudi bechne aaya


Manihari ka bhesh banaya,Shyam chudi bechne aaya

Chhaliya ka bhesh banaya,Shyam chudi bechne aaya

Chhaliya ka bhesh banaya,Shyam chudi bechne aaya

Galiyon mein shor machaya,Shyam chudi bechne aaya

Chhaliya ka bhesh banaya,Chhaliya ka bhesh banaya

Radha ne suni Lalita se kahi,Mohan ko turant bulaya

Shyam chudi bechne aaya, Chhaliya ka bhesh banaya


Chudi laal nahi pehnu,Chudi hari nahi pehnu

Mujhe Shyam rang hai bhaaya, Shyam chudi bechne aaya

Chhaliya ka bhesh banaya, Shyam chudi bechne aaya


Radha pehnan lagi,Shyam pehnane lage

Radha ne haath badaya, Shyam chudi bechne aaya

Chhaliya ka bhesh banaya,Shyam chudi bechne aaya


Radha kehne lagi ,Tum toh chhaliya

Bade dheere se haath dabaya,Shyam chudi bechne aaya,

Chhaliya ka bhesh banaya,Chhaliya ka bhesh banaya,

Manihari ka bhesh banaya,Shyam chudi bechne aaya,

Chhaliya ka bhesh banaya,Chhaliya ka bhesh banaya,

Shyam chudi bechne aaya.


2. Bhajo Radhe Govinda


Bhajo Radhe Govinda,Gopala Tera pyara naam hai

Gopala Tera pyara naam hai,Nandalala Tera pyara naam hai


Mor mukat maathe tilak viraje,Gale vaijanthimala Gale vaijanthimala

Koi kahe Vasudev ka Nandan,Koi kahe Nandalala Koi kahe Nandalala

Bhajo Radhe Govinda


Gaj aur Grehe lade jal bitar,Jal mein chakra chalaya Jal mein chakra chalaya

Jab jab bhid padi bhagaton par,Nanggi pairin dhaya Nanggi pairin dhaya

Bhajo Radhe Govinda.



3. Mere Pyare Madan Gopal


Choti choti gaiyan, chote chote gawaal,

chote se mere, madan gopal

mor mukut mathe saaje, gale mein swaranmaal,

chote se mere madan gopal,

Kaano mein karanphool, haathon mein ratnajadhit hath haar,

chote se mere madan gopal,

pitamber saaje tan pe, uspe sundar motiyon ki maal

chote se mere madan gopal,

pairon mein jhanjhar sohe, jab nache hari angana dwaar.

Chote se mere madan gopal,

Bhaye sab ke mann ko bal gopal,Karke solah shringar,

chote se mere Madan Gopal


4. Darshan Do Ghanshyam


Darashan do ghanashyam naath mori,Ankhiyan pyaasi re

Man mandir ki jyoti jagaado,Ghat ghat basi re

Mandir mandir murat teri ,Phir bhi naa dikhe surat teri

Yug bite naa aai milan ki ,Puranamasi re


Dwaar dayaa kaa jab tu khole ,Pancham sur mein gungaa bole

Andhaa dekhe langadaa chal kar ,Pahunche kasi re

Paani pi kar pyaas bujhaun ,Nainon ko kaise samajhaaun

Aankh michauli chhodo ab ,Man ke basi re

Nibarl ke bal dhaan nidharn ke ,Tum rakhwaale bhakt janon ke

Tere bhajan mein sab sukh paun,Mite udasi re

Naam jape par tujhe naa jaane ,Unako bhi tu apanaa maane

Teri dayaa kaa ant nahin hai ,He dukh nashi re

Aaj phaisalaa tere dwaar par ,Meri jit hai teri haar par

Har jit hai teri main to ,Charan upaasi re

Dwaar khadaa kab se matavaalaa ,Maange tum se har tumhaari

Narasi ki ye binati sunalo ,Bhakt vilaasi re

Laj naa lut jaaye prabhu teri ,Naath karo naa dayaa mein deri

Tin lok chhod kar aao ,Gangaa nivasi re



5.Jai Madhav Madan Murari

Jai Madhav Madan Murari,

Jai Keshav Kalimalhari,
Sundar Kundal Naiyen Vishala,
Gale Sohe Vaijantimala,
Ya Chav Ki Balihari,
Kabhun Loot Loot Bagi Khayo,
Kabhun Madhuvan Ras Rachayo,
Nachat Vipin Bihari,
Karuna Kar Dropadi Pukari,
Pat Mein Lipat Gaye Balihari,
Nirak Rahe Nar Nari
Jai Radha Madhav, Jai Kunj Bihari,
Jai Gopi Jan Walabh, Jai Girdhar Hari,
Yashoda Nandan, Brij Jan Ranjan,
Jamuna Teer Ban Chari,
Hare Krishna, Hare Krishna,
Krishna Krishna, Hare Hare,
Hare Rama, Hare Rama,
Rama Rama, Hare Hare.
Jag Mai Sunder Hain
Singer- Anup Jalota
Jag mai sunder hain do naam chahe Krishna kaho ya Ram
Bolo Ram Ram Ram, Bolo Shaam Shaam Shyam
Makhan Brij mai Ek churave, Ek ber bhini ke khave
Prem bhav se bhare anokhe dono ke hai kaam
chahe Krishna kaho ya Ram
Ek Kans papi ko mare , Ek doosht Ravan sanhare
Dono din ke dukh harat hai Dono bal ke dham
chahe Krishna kaho ya Ram
Ek Janaki sang viraje
chahe Sita Ram kaho ya bolo Radhe Shyam
Bolo Ram Ram Ram, Bolo Shyam Shyam Shyam
Itna To Karna Swami
Singer- Anup Jalota
Itna to Karna Swami, Jab Praan tan se nikle
Govinda Naam leke, Tab pran tan se nikle,
Shri Gangaji the tat ho, Jamuna Ka vanshivat ho,
mera sawla nikat ho, jab pran tan se Nikle
Pitambari kasi ho, Chabi maan main yeh basi ho,
Hotho pe kuch hasi ho, jab pran tan se nikle
Jab kanth pran aye, koi rog na sataye
Yam darash na dikhaye, Jab pran tan se nikle
us vakt jaldi ana, nahi Shyam Bhul Jana,
Radhe ko saath lana, jab pran tan se nikle,
ek bhakt ki hai arji, khud garj ki hai garji
aage Tumhari marji jab pran tan se Nikle
Itna to karna Sai, Jab pran tan se Nikle
Happy Janmashtami to all.


6.Khul Gaye Jail ke Tale


Jab janmain Shri Bhagwan jail darmyan murliya wale
khul gaye jail ke tale

Dewki ne pati ko jagaya tha sapne ka hal sunaya tha
le jao putra Yashoda ke karo hawale
khul gaye.........

Vasudev ji ki bedi tuti thi takdir Kans ki phuti thi
ho gaye mast sab so gaye pahare wale
khul gaye......

Vasudev ji chale agadi ko le kar ke Krishna Murari ko
pahunche Yamuna tat yamuna bhare ubare
khul gaye.....

Vasudev ji ne bhed na paya tha prabhu ji ne pair badhaya tha
phunche Yashoda ke nikat muraliya wale
khul gaye..........

Ghar ghar main batat badhai hai ham sabne khushiyan manai hai
pad gaye Kans raja ki jan ke lale
khul gaye jail ke tale

Jab janmain Shri Bhagwan jail darmayan muraliya wale
khul gaye jail ke tale


Chadar lambi taan na so

Chadar lambi taan na so, Shyam japo Shyamjapo
Jiwan ki ghariya vyartha na kho, Shyam japo Shyam japo.

Duniya mein aake kya kiya, ghari bhar na prabhu ka naam liya
Vishayan de vich jindagi na kho, Shyam japo Shyam japo.

Shyam toh sukh ka saar hai, jiwan ka aadhar hai
Uske siwa marg na koo, Shyam japo Shyam japo

Bhakti mein manua dhyan dhar, ujraa ghar aabad kar
Agyan ka bande neend na so, Shyam japo Shyam japo


7.Bhajo Radhe Govinda

Bhajo Radhe Govinda
Gopala Tera pyara naam hai
Gopala Tera pyara naam hai
Nandalala Tera pyara naam hai

Mor mukat maathe tilak viraje
Gale vaijanthimala Gale vaijanthimala
Koi kahe Vasudev ka Nandan
Koi kahe Nandalala Koi kahe Nandalala
Bhajo Radhe Govinda . . .

Gaj aur Grehe lade jal bitar
Jal mein chakra chalaya Jal mein chakra chalaya
Jab jab bhid padi bhagaton par
Nanggi pairin dhaya Nanggi pairin dhaya
Bhajo Radhe Govinda.

8.Mere Pyare Madan Gopal


Choti choti gaiyan, chote chote gawaal,
chote se mere, madan gopal

mor mukut mathe saaje, gale mein swaranmaal,
chote se mere madan gopal

Kaano mein karanphool, haathon mein ratnajadhit hath haar,
chote se mere madan gopal

pitamber saaje tan pe, uspe sundar motiyon ki maal
chote se mere madan gopal

pairon mein jhanjhar sohe, jab nache hari angana dwaar.
Chote se mere madan gopal

Bhaye sab ke mann ko bal gopal,Karke solah shringar,
chote se mere Madan Gopal

9.Nandlal Tohri Mahima Aparampar


Mere pyare nandlal, kaise karoon tohri mahima ka bakhan,
janam liya mathura nagariya, karne danavon ka sanghar
kaise karoon tohri mahima ka Bakhan.

Janam data thi Devki Mata, Yashoda ko bhi diya maa ka samman
kaise karoon tohri mahima ka bakhan

Putana ko mukt kiya, har liye Kansa ke pran
kaise karoon tohri mahima ka bakhan.

Gopiyon sang raas kiya, Radha ko diya sampurna pyar.
Kaise karoon tohri mahima ka bakhan.

Chaliyon sang chal kiya, deeno sang seedha vyavhar,
kaise karoon tohri mahima ka bakhan.

Pandavon ka saath diya, Kauravon ko diya pachhar,
kaise karoon tohri mahima ka bakhan.

Mere pyare nandlal kaise karoon tohri mahima ka bakhan


10.Darsh Do Mohe Girdhari


More pranpriye Krishna, more pyare Girdhari,
Darsh do mohe, More pran chhootat jat.

Main neech nirbal prani, chahta jana chhodd duniya ka sath,
Darsh do mohe, more pran chhootat jat.

moh maya ke is bhanwar se ,do mujhe ab ubhar,
Darsh do mohe, more pran chhootat jat.

Karm ki gathariya ho gayi bhari, karo mera uddhar,
Darsh do mohe , more pran chhootat jat.

Sumiran kar tera antim kshan mein, mujhe milega swarg ka dwar,
Darsh do mohe , more pran chhootat jat.

More Pyare Girdhari. Sun lo ab arz humari,
Darsh de mohe , more pran chhootat jat

0 comments:

Post a Comment

Popular Posts